Ab old library Mai ayaan our Rihan hi the mahol bilkul serious ho Chuka Tha
Tabhi ayaan bola Rehan bas kar do apni yeh harkatein Rehan ne kaha ab Jo hona Hai voh toh hokar hi rahega
Ayaan ne kaha Rehan tumhe Jo kuch Karna Hai Mera sath karo Mera Kisi bhi friend yeh unki family ko beech Mai mat lao
Tabhi Rehan kehata Hai yahi toh asli Maza Hai Abhi toh Maine bas zoya ko target Kara Hai aage aage Dekho hota Hai Kya
Rehan yeh Bol kar vaha Se chala Jata Hai
Ayaan thoda pareshan ho jata Hai tabhi uska phone par Ayera ka message Aata Hai
Hiii ayaan
Kaise ho
Mughe MAAF Karna itni der se message
Karne ka Liya Mai thoda Sa busy thi
Isliya tumhare messages ka reply Nahi
Kar payi par ab
Mai vapas a rahi hu tumse Milne
Yeh message dekh kar ayaan ke chehre par Badi Si smile a jati Hai our voh Kush ho Jata Hai par uske man Mai andar hi aik daar baith jata Hai kahi Rehan Ayera ko kuch na kar
Da par voh in sab ke baare Mai zayada na Soch kar Ayera ko message Karta Hai
Koi Baat Nahi Ayera
Tum jaldi vapas a jao
Mughe tumse kuch kehna Hai our
Tumhe kuch batana bhi Hai
Ayera ka message Aata Hai
Thik Hai Mai bas 2 din baad hi vapas a rahi hu Ayera bhi kush ho jaati Hai our sochti Hai ka Mai ab ayaan ko sab baata hi dungi Ki Mai ayaan se Kitna pyaar karti hu
Agla din ho jata ha our ayaan zoya ko message Karta Hai Ki zoya
Tum AJ college mat aao
APNe Ghar Mai hi raho
Rehan ka koi bharosa nahi Hai
Ki voh kab Kya kar da
Zoya maan jaati Hai our ayaan ko message karti Hai Ki theek Hai tum APNA khayal rakhna our agar kuch help chahiya toh mughe baata Dena
Ayaan message kar ke theek Hai Bol deta Hai
Par Kise pata Tha Ki Rehan ka Naya plane Kya hoga ab Rehan ne Soch Liya Tha ka voh ayaan Ki life barbaad kar ka rahega kyunki ayaan ko Rehan ka sach Jo pata Chal Gaya Tha 2 din aisa hi Chale jaate Hai
Par Rehan ne ab tak kuch Nahi kiya Tha ayaan ko Laga Ki Rehan shayad ab kuch Nahi karega par
Rehan ka dimag Mai kuch our hi Chal raha Tha
