Cherreads

Chapter 13 - sach ka saamna

Zoya ka dimag bilkul sunn ho Chuka Tha

Zoya ne Socha Tha ke Rehan aik accha ladka Hai par Rehan Ki saachai kuch our hi Thi zoya Rehan yeh sab jhoot Hai na usne halki Si umeed ke sath poocha

Rehan dheere se hasa

Lekin iss barr uski hasi me woh softness Nahi Thi

Nahi zoya yeh sab sach Hai

Zoya ke pairon tale zameen khisak gayi

Our tum jaanti ho sabse interesting Baat Kya Hai Rehan ne aage badhte hue Kaha

TUM BHI AB ISS GAME KA HISSA BAN CHUKI HO

zoya darr ke maare peeche Hati

Game Kaisa game

Tabhi woh ladki jisne sach bataya Tha woh beech Mai boli

Rehan logon Ki feelings ke sath khelta Hai unhe emotionally trap Karta Hai aur phir unki life control Karta Hai

Zoya ne Kaha mughe tumhara sach ayaan ko Batana hi padega

Rehan ne kaha agar tum bachogi tabhi toh sach bata paogi

Zoya thodi shocked ho gayi voh peeche Hati our usne bhagne ka Socha

Rehan zoya Ki taraf badha our Kaha ab jab tumne Faisal kar hi Liya Hai sab kuch sach batane ka toh Meri aik our Baat sun lo agar tumne ayaan yeh Kisi Ko bhi kuch bataya toh tumhari furi family ko Mai marr dunga

Tabhi peecha se ayaan Ki awaz aati Hai

Rehan agar zoya Ki family ko tumne kuch bhi karne Ki Koshish Ki toh mugh se bura koi Nahi hoga

Rehan ne kaha Kya kar loge tum

Ayaan ne bola Abhi tumhe pata hi Kya Hai Ki Mai Kya Kya kar sakta hu

Rehan ne kaha accha

Jo Karna Hai kar lo mughe Kisi se darr Nahi lagta ayaan ne phone nikala our aik message kiya

Our kaha theek Hai ab mughe Jo Karna Hai Mai voh karunga baad Mai mat kehna Ki Mena tumhe pehle bataya Nahi

Zoya ayaan ka pass aiyi our usne Kaha ayaan mughe sab pata Hai Rehan logo ko trap Karta Hai our fasata Hai ayaan ne kaha zoya mughe pehle se hi sab pata Tha par

Mai tumhe muskil Mai Nahi dalna chahta Tha kyunki tum Meri friend ho

Zoya ne Socha ayaan Abhi bhi mughe aik dost Ki tarah hi treat Karta Hai

Usne Haan Mai sir hilaya our Kaha ab tum Kya karoge

Ayaan ne kaha ab bas tum dekhti jao

Rehan khada hokar unki baatein sun raha Tha our andar hi andar uska gussa badh raha Tha tabhi

Ayaan ka phone par aik message aya our ayaan ne zoya se Kaha tumhari family bilkul safe Hai tum Ghar jao Mai yaha sab kuch handle kar lunga

Zoya na Kaha APNA khayal rakhna ohk

Ayaan ne Haan Mai sir hilaya our zoya wahan se APNe Ghar chali gayi

More Chapters