Ayaan London law Ki studies karne jaana chahta Tha par voh pareshan Tha Ki voh Ayera se durr kesa rahega
Class khatam ho jaati Hai
Ayera our ayaan sath Mai bahar ghumne jaate Hai
Par Ayera ko ayaan thoda pareshan lagta Hai
Ayera puchti Hai Kya Hua ayaan AJ tum thoda pareshan lag rahe ho
Ayaan Bolta Hai kuch Nahi bas thoda thak Gaya hu
Ayera kehti Hai lag toh Nahi raha
Tum mugh se kuch Chupa toh Nahi rahe ho
Ayaan kehta Hai actually baad yeh Hai Ki
Voh Mai
Ayera puchti Hai Kya Baat Hai
Ayaan Bolta Hai Mena jis debate competition Mai participate Kara Tha usme aik JUJ bhi aye the
Our unhe Mera debate bahut pasand aya
Ayera kehti Hai yeh toh acchi Baat Hai
Ayaan kehta Hai yeh Baat Nahi Hai unhone mughe law Ki studies ka Liya London jaane ka offer Diya Hai
Ayera yeh Baat sun kar thoda nirash ho jaati Hai par voh Bolti Hai arey waah yeh toh bahut acchi Baat Hai
Ayaan Bolta Hai Ki Mai tum se durr ho jaunga
Ayera kehti Hai ayaan tum Jo bhi Faisla loge Mai hamesha tumhare saath rahungj
Tumhe APNe future ka Liye London jaana chahiya
Ayaan kehta Hai tum ketni acchi ho Ayera mere baare Mai Kitna sochti ho
Mughe sach Mai bahut acchi
Girlfriend Mili Hai
Ayera kehti Hai
Haa yeh toh
Par Mera boyfriend bhi bahut accha Hai
Fir voh puchti Hai Ki tumhe kitne time ka Liya London jaana Hai
Ayaan kehta Hai mughe yeh toh paata hi Nahi Mai puch kar batata hu
Kuch din baad
Ayaan Ayera se kehta Hai Meri sab Baat confirm ho Chuki Hai mere parents bhi Maan Gaye Hai Mai 2 saal ka liye London padhne jaa raha Hu
Ayera kehti Hai 2 saal yeh toh bahut zayada Hai Mai 2 saal kesa rahungi tumhare bina
Ayaan kehta Hai agar tum mana karogi toh Mai Nahi jaunga
Ayera kehti Hai chalo koi Nahi jaao our jaldi se aik acche lawyer banke wapas aana
Ayaan kehta Hai ohk madam Ji
Ap ka hukum sarakho par
Ayera kehti Hai tumhe kab jaana Hai ayaan
ayaan kehta Hai Kal Raat Ki flight Hai
Ayera kehti hai chalo theek Hai
Flight wali Raat
Ayaan kehta Hai ok bayy Ayera Mai chalata hu
Ayera our ayaan Ki daily baate Hoti Thi
Dono sath hi video call par Baat Karte
Sath hi call par Khana khate
Our bahut Saari baate Karte
Aik dusre ka birthday cake bhi dono ne video call par cut Kiya
Dheere dheere aik saal beet Gaya Tha par yeh aik saal itni jaldi beet Gaya ke Jaise maano pata hi na chala ho
