Hello doston,
ye meri story ka 2nd part hai 🫶🏻
Us din usse dekhne ke baad…
main bas yahi soch rahi thi —
"Mujhe kya ho raha hai?"
Ghar aakar main so gayi…
aur us raat mujhe ek ajeeb sa sapna aaya…
Sapne mein ek ladka tha…
lekin uska chehra clearly nahi dikh raha tha…
Next day jab main college gayi…
maine usse phir dekha…
aur wahi feeling… phir se aa gayi…
Jab teacher attendance le rahe the…
tab maine uska naam suna…
uska naam tha" Advik".đź’
Uske baad toh jaise sab kuch change ho gaya…
main roz raat ko sapne mein usi ladke ko dekhne lagi.
Ek din…
aaj bhi mujhe yaad hai 🥹
College mein ek program chal raha tha…
aur us din maine pehli baar Advik se baat karne ki koshish ki…
Lekin…
mera hosh hi udd gaya…
na main properly baat kar paayi…
na hi uski aankhon mein dekh paayi…
Us raat phir se mujhe sapna aaya…
lekin is baar…
maine us ladke ka chehra dekh liya…
Aur woh… Advik tha 🤧
Main confuse ho gayi…
phir maine socha —
"Mere saath ho kya raha hai?"
Maine iske baare mein search kiya…
aur tab mujhe samajh aaya…
mujhe pyaar ho gaya hai…đź«
Maine bohot try kiya ki main usse na dekhu…
raat ko na sou… taaki sapna na aaye…
Lekin phir meri tabiyat kharab ho gayi kiun ki main achi tarah nahi soo pai …
aur mujhe sona hi pada…
Aise hi ek mahina beet gaya…
lekin…
jab maine pehli baar Advik ko touch kiya… tab jo hua…...
👉 To be continued…
