Next day kavya bahut sad rehti hai achanak se school me kuch problem ke liye sabki chutti ho jati hai kavya bhi apne ghar chali jati hai tabhi arav bhi apne ghar ja raha hota hai kavya use baat karne ke liye call karti hai lekin vo phone nhi uthata hai arav ke ghar jane ke baad pata chalta hai ki aaj sham ko arav ki sister anamika ko ladke wale dekhne aa rahe hai sham ko sab aata hai anamika bahut nervous hoti hai isliye vo kavya ko apne ghar bulati hai kavya anamika ko ready karti hai lekin anamika ko ladka pasand nahi aaya to un dono ki shadi cancel ho jati hai anamika dekhti hai ki aaj arav aur kavya ek dusre se baat nhi kar rhe raat me anamika apne bhai se puchti hai ki kavya ke cousin ne hi arav ki girlfriend ko chin liya tha tab anamika arav ko samjhati hai ki tum kavya se baat karo isme kavya ki kya galti arav maan jata hai arav kavya ko call karta hai sorry bolne ke liye kavya bhi use maaf kar deti hai... 😇😇
