Cherreads

Chapter 8 - Ehsaas

Agle kuch din…

Sab kuch dheere-dheere settle ho raha tha।

Aman ab zyada apne aap me rehta…

Kabir aur Riya ke saath time spend karta,

par thoda emotionally distant।

Ek din…

School me farewell ki preparation chal rahi thi।

Sab log apni-apni memories share kar rahe the।

Riya stage ke peeche khadi thi…

jab usne Aman ko bolte hue suna—

"Har kisi ki life me koi na koi special hota hai…

jo shayad kabhi humara nahi hota…

par phir bhi humari life ka sabse important part ban jaata hai।"

Riya ka dil ek second ke liye ruk gaya।

Wo jaanti thi…

yeh baat uske liye hi thi।

Us raat…

Riya phir se so nahi paayi।

Is baar confusion nahi tha…

ehsaas tha।

"Jab wo paas tha… tab samajh nahi aaya…

aur ab jab wo door ja raha hai…

to sab clear ho raha hai…"

Usne apne aap se kaha—

"Shayad… main bhi usse pyaar karti hoon।"

Agle din…

Riya ne decide kar liya।

Wo Aman ke paas gayi—

"Aman, mujhe tumse baat karni hai।"

Aman ne normal tone me kaha—

"Haan, bolo।"

Riya ne seedha uski aankhon me dekha—

"Main galat thi…

shayad main dar gayi thi…

par ab mujhe samajh aa gaya hai…"

Aman chup raha।

"Main… tumse—"

Riya apni baat complete karti…

usse pehle hi Aman ne dheere se kaha—

"Riya… ab der ho gayi।"

Yeh sunkar Riya shock ho gayi।

Aman ne halka sa smile diya—

"Main tumse pyaar karta tha…

aur shayad hamesha karta rahunga…

par maine accept kar liya hai ki

har pyaar ka end saath nahi hota।"

Riya ki aankhon me aansu aa gaye।

Aman ne aage kaha—

"Ab jo humare paas hai…

wo kam nahi hai।"

"Dosti…"

Riya ne dheere se sir jhuka liya।

Usne pehli baar feel kiya—

Kabhi-kabhi ehsaas sahi waqt par na aaye…

to wo sirf ek yaad ban kar reh jaata hai।

More Chapters