Part: 9 _"Dooriyan"
Next day...
Naina college nahi aayi...
Class me sab normal tha...par Raghav ke liye nahi...
Uski nazar baar_baar gate par ja rahi thi...
"Wo aaj kyun nahi aayi...?"
Sia uske paas aayi...
"Relex... itna kyun tension le rahe ho?"
Raghav ne irritate hoke kaha_
"Tumhe samjha nahi aayega..."
Sia thodi hurt hui...
Par phir bhi boli...
Raghav ne seedha jawab diya_
"Par main ab wahan nahi hoon...Sia"
Sia ka face serious ho gaya_
"Toh kya tum...usse pyaar karte ho?"
Raghav chup ho gaya...
Aur uski silence hi answer thi...
Sia ke liye ye shock tha...
Ghar
Naina aapne room me thi...
Uski aankhon ro_ro red ho chuki thi...
"Main hi pagal hoon...
Ye sab sirf contract tha..."
Usne aapna phone uthaya...
Raghav ka naam dekha...
Par call nahi kiya...
"Ab aur hurt nahi hona..."
Usne khud se kaha...
Evening...
Raghav ghar aaya...
Aur seedha Naina ke room ke saamne ruk gaya...
Knock...
"Kya main andar aa sakta hoon...?"
Naina ne jawab nahi diya...
Raghav ne door khola...
Naina window ke pass khadi thi...
"Tum college Kyun nahi aaya...?"
Naina ne bina mudhe kaha_
"Aapko kya farq padta hai...?"
Raghav hurt ho gaya...
Wo dheere se bola_
"Padta hai..."
Naina ne finally uski taraf dekha...
"Par aapke pass already koi hai...
Jiske paas aapko hona chahiye..."
Silence
Raghav uske paas aaya_
"Main tumhe choose kiya hai..."
Naina shock...
"Par main ek sirf ek contract hoon..."
Raghav ne uska haath pakad_
"Shura me tha...par ab nahi..."
Naina ke aankhon me aansu aa gaye...
"Main tumhe hurt nahi karna chahta..."
Raghav ne softly kaha_
"Par agar tum door gayi...to main khud ko
lose kar dunga..."
Naina ka heart beat fast karne lage...
Par usne dheere se apna hath chhuda liya...
"Mujhe time chahiye..."
"Ye sunke Raghav silent ho gaya...
Aur yaha se shuru hoti hai_
distance...Jo ya pyaar badhati hai...ye sab khatam kar deti hai...
Kya Naina Raghav ko accept karegi ?
Kya sia easily give up karegi?(Ya kuch dangerous karegi)
Kya Raghav prove kar paayega apna pyar ?
Ya phir... Naina hamesha ke liye door ho jayegi ?
