Cherreads

Chapter 2 - anjaan mulakaat

Raat ka waqt tha ...halki barish ho rahi thi ayesa khan apne ghar lout rahi thi .usko dil me ajeeb si bechaini thi .jaise kuch hone wala ho... Raasta me achank uski nazar ek ladke par padi woh ladka baarish me bheeg raha tha lekin uski aankhon me ek gehra dard tha ...tum theek ho. Ayeha ne poocha ladka dheere se muskuraya main theek hoon lekin shayad mei zindagi nahi. Ayesha hairaan reh gayi usne pehli baar kisi ajnabi ki baat me ita dard mehsoos kiya tha .tumhara naam.armaan roy. Naam sunte hi Ayesha ke dil me kuch ajeeb sa mehsoos hua .jaise yeh naam uske naseeb me likha ho ...

EK RaaZ

Agli subah Ayesha Armaan ko har jagah dhoonda lekin woh kahin nhi mila usne us jagah wapas jaakar dekha Jahan woh kal mile the lekin wahan sirf ek purani diary padi thi..diary ke pehle page par likha tha. Jo bhi is diary ko padhega uski zindagi badal jayegi..

Ayesha ne dare hue haathon se diary kholi aur pehla lafz padha .Armaan mar chuka hai Ayesha ke haath kaanpne lage..yeh kaise ho sakta hai.kal raat toh main usse mill thi .

Twist

Agar Armaan mar chuka hai toh kal raat Ayesha kis se mili thi...

Raaz-e dil

Sach k saamna.

Subah ki halki roshni kamre me aa rahi thi . Ayesha khan abhi bhi us diary ko pakde baithi thi . Uski aankhon me Darr bhi tha...aur curiosity bhi Armaan mar chuka hai..yeh line uske dimaag me baar baar ghoom rahi thi.

Achanak diary ke pages apne aap hilne lage...

Jaise kai invisible force unhe palat Raha ho....

Ayesha ne himmat karke agla page padha ...

Main Armaan hoon .agar tum yeh padh rahi ho to matlab tum mujhe dekh sakti ho ..uska dil zor se dhadakne laga yeh sab kya ho raha hai

Wapas aana

Us raat Ayesha phir usi jagah gayi baarish phir se shura ho chuki thi.armaan ....usne dheere se pukara aur phir dhund ke beech se ek parchhai saamne aayi.... Armaan roy wapas aa chuk tha tum aa gayi . Us ne halka sa muskara kar kaha Ayesha ka gussa aur Darr ek saath bahar aaya tum Zinda ho ya ..kuch aur Armaan ki aankhon me udaasi chha gayi . Main zida nahi hoon Ayesha ..main sirf ek adhoori kahani hoon ...

Adhoora pyaar . ....

Ayesha chup ho gayi adhoori kahani ...

Armaan ne dhere se kaha main tumse pehle bhi Mila tha .. par tumhe yaad nahi . Ayesha hairaan ho gayi impossible pichle janam me Armaan ne kaha hawa tez chalne lagi ..

Aur achanak Ayesha ke dimaag me kuch

Tasveerein flash hone lagi .....

Ek purana mahal ..ek ladka ..wahi aankhein aur ek ladki . Jo bilkul us jaisi thi ..

Big Twist...

Ayesha ko sab yaad aane laga woh aur Armaan pichle janam me ek doosre se pyaar karte the ..lekin ..un dono ki maut ek hi raat me ho gayi thi ..ab sawal yeh hai ... Kya is janam me unka pyaar poora hoga ...ya phir phir se adhoora reh jayega ...

More Chapters